Online magazine
Anjani si ek ladki
7th part of this story
Shiraz ke andar jese koe tufan tha. Usi Soch me duba hua wo ghar aaya. Aap kha reh gay the Shiraz ghar aate hi ammi ki awaz aae. Kahi nhi bas thodi der hogae h. Shiraz aap pareshan h kya koe problem h. Nhi ammi aap esa kyu puch rahi h. Kyu ki beta aap subha gay the. Aur ab aay ho aap ki koe meeting bhi nhi thi wo kal h. Aapke papa ne btaya tha mujhe. Aap aap ka chehra etna pareshan hal h. Ab aap khud hi bta do ke kya problem h. Nhi ammi koe bat nhi h aur agar hogi to aap ko sab se pehle btaoga. Aap Sach keh rahe h. Ammi ne pucha. Ji ammi belkul Sach. OK beta ab jaker ready ho jao. Kyu ammi aap ko yad nhi, party m jana h.Aapke Papa ke dost ke yha par nhi ammi main nhi jaoga kyu Shiraz ammi mere sar me dard h. Maine jawab diya. OK. Jesi tumhari marzi ham sab ja rahe h. Apna khayal rakhna ye keh kar ammi chali gae.
Shiraz ne bahut Socha aur na jane kya Soch ker wo rehma wella ja pahucha. Pta nhi konsi kashish thi jo use yha le aae thi. Magar get par aaker ruk gya tha.
Gulbano ko doctor ke ache se dekha aur koe problem ho to call karna. Theek h bibi ji. Ye Shairin ki awaz thi jo driver ko samjha rahi thi. Yha koe nhi h warna m khud jati aap ke sath aap ka bukhar jaldi utar jayga pareshan mat hona usne Gulbano se kha aur wo log Chale gae.
Shiraz ko pta tha ke ghar m koe nhi h. Vese bhi wo Shairin se akele milna chahata tha. Esliy wo andar aa gya. Kon h kon h waha aahat pa kar Shairin ne kha. Maine hu Shairin Shiraz ko dekh kar chok gae thi. Ji aap slamun elekum usne jaldi se slam kiya. Walekum slam ji betye m pani lati hu. Ye kehkar Shairin pani le aae. Thank you pani le kar Shiraz ne kha. Sab log party m gae h. Es waqt yha koe nhi h. Aap kal aa jayga sab se milne ke liye. Shairin ne saf bta diya tha.
Magar main jesse milne aaya hu wo to yhi. Jab Shairin jane lagi to Shiraz ne kha. Aap mujh se milne aay h Shairin ko herat hue kyu Shiraz sahab kheryat to h. Aap ko jab se yha dekha h. Maine janna chahata hu ke kya hua tha us din. Tum kon ho tuhare parents kon h sab kuch. Lekin kyu btao Dekhye Shiraz sahab aap ka reshta es ghar se juda h aapki ezzat karna mera farz h. Esse ziyada kuch nhi. Aap bethye sab log aajay to milkar jana. Ye kehkar Shairin jane lagi to Shiraz ne uska hath pakad liya. Aap kya kar rahe h, aap jante bhi h. Chodye mera hath Shairin ne hath chudane ki koshish ki. Shairin please btao na kya hua tha. Aap mera hath choda Shiraz. yha to mujhe sakun se rehne do. Us ghar se beezzat ho kar nikali gae thi please mujhe yha ezzat se rehne do please..
Ye kehte hue asuo jhadi lag gae thi. Shairin aap roo nhi Shiraz ne uske aasu poche the ke Shairin ek jhatke se khadi ho gae aur use khud se dur kar diya. Aap jante bhi h aap kya kar rahe h. Phle aapke dosto ki wajha se bahut sha h. Ab aur kuch nhi ye keh kar Shairin apne room me aa gae aur room ko bad kar liya.
Shairin meri bat suno mera koe galat erada nhi h. Aap sun rahi hena. Shairin meri bat suno please
Bat bas etni se h jab se maine aapko dekha h m bhula nhi paya hu ye mohabbat h ya nhi mujhe nhi pta. Bas main aapki aakho m aasu nhi dekh sakta. Jo galti aapne nhi ki main aapko uski sza nhi bhukatne duga . Shairin please mujhe samajhne ki koshish kro. Open the door bahut der bad Shairin ki awaz aae thi. Agar aapko meri etni hi fikar h. Shiraz to aap es waqt yha se Chale jao. Agar aapko kisi ne es waqt yha dekh liya to meri ezzat par ek elzam aur lag jayga. Theek h Shairin m ja rha hu lekin ek bat yad rakhna ab ye Shiraz Ahmad ab aap se jab bat karega to puri ezzat aur haq ke sath karega warna main aapko kbhi apni shaql nhi dekhaoga.ye kehkar Shiraz chala gya aur Shairin us bad kamre m roti reh gae...............
.............
No comments:
Post a Comment