Saturday, 22 December 2018

Online magazine Anjani si ek ladki 11th part

Online magazine 

Anjani si ek ladki 

11th part of the story 

Shiraz ki nazar jhuki hue dekhi to Shairin bhi aage badh gae. Walekum slam beta kho kese aana hua. Ji bas sab theek h aap btay sab theek h. Ji beta Allah ka karm h. Shairin jao Aliza ko bula kar lao., "Jab wo pani lekar aae to dadi ne kha" ji abhi lati hu Keh kar wo chali gae. Dadi me aapse kuch bat karne aaya hu ji kho beta.


Dadi ye bat bahut zaroori thi.  Ammi khud aati lekin samajh me nhi aa rha tha ke kya bat kare kese kare. Lekin mujhe lagta h ke jo such h sahi h kehdena chahiye. Dadi mujhe puri ummeed h aap mujhe samjhege aur halat ko bhi. Bat kya h beta saf saf kho. Aap se ek swal puchna chahta hu ejazat h. Huu.. Dadi ne kha dadi aap ki nazar me mujh me aur Shehryar me kya farq h. Kuch nhi h aap dono bahut ache ho.ham dono achche h to kya aap Aliza ki shadi mere bjay Shehryar ye aap kya Keh rahe h. Dadi ko ye bat ajeeb lagi thi.

Aap se kiya tha hamne Aliza ka rishta aur aap ab ne Keh rahe h. Ke Shehryar se shadi karde kese Keh sakte ho aap hame aap se ye ummeed to bilkul nhi thi. Dadi aap mujhe galat samajh rahi h. Shiraz ne samjhane ki koshish ki dadi bat ye h ke me Shehryar se shadi karna chahti hu Aliza ne aate hi bat clear kardi thi. Magar dadi heran thi. Aliza aap esa kese kar sakti h. Dadi I am sorry magar Shehryar se kab rishta gehra ho gya pta hi nhi chala. Mane to Shairin se bhi request ki thi ke wo aap ko bta de lekin wo himmat nhi kar paella. Thank you Shiraz aapne hame samjha aur khud pahel ke. No it's OK aap dono ki khushi me hi
Meri khushi h. Shiraz ne kha. Dadi ab aap btay kya karna h. Hame maf karna beta ham aap ke dil ko samajh nhi paye. Ye Keh kar dadi ne Aliza ko gale lgaya aur Shiraz aap ka shukriya jo aapne hmari ezzat rakhli.to phir me ye bat pakki samjhu ji beta dadi ne kha. Thank you dadi aapne mere bhai ki khushi puri kardi. To phir sara program ese hi hoga bas cards par name change kara dena ji achacha to me chalta hu. Khudahaffiz.



Shiraz ghar aaya aur sab ko khush khabri suna. Aap bahut aache h. Khuda aap ko hamesha slamat rakhe to me bura hu Shehryar muh bnakar bola. Nhi mere Bachcho aap dono hi mere liye to meri do aakhe ho ye Keh kar ammi ne dono ko gale lga liya. Tum dono hamesha khush rho.



Magrib ka waqt ho chuka tha. Shiraz namaz ada karne masjed chala gya. Aur shukr ka sajda  ada kiya ke mere Khuda tune meri ye mushkil hal kar de. Ab meri wo aarzoo bhi puri karde jo tere siva koe nhi janta ke tu behtar janne wala h. Mere Khuda tujhe hi se ummeed lagae h ke tu sab ki murrade puri karta h. Meri bhi dua qabol kar le.


Agle din  Ammi meri faiel nhi mil rahi h yha par aap ghar par dhud kar bijwade please ye Shiraz ka call tha. Theek h beta me cheq karti hu ye Keh kar unhone dhud na shuru kiya. Ye Shiraz bhi na yha table par  bhi nhi h. Saed renk me hogi sari renk dekhi last renk wo ruk gae. Nhi mili faiel aap aa jao shayd mil Jay unhone phone kar diya tha. OK ammi me aata hu. Shiraz aaya to wo faiel unke hath me thi ye to aap ko milgae thi phir bheji kyu nhi Shiraz ne kha. Kyu ki kuch aur bhi mila tha to puchna tha. Kya puchna tha  Shiraz ne kha ye hi ke kya aap bhi kisi ko psand karte ho ammi ne kha nhi ammi esi koe bat nhi h me chalta hu Shiraz jane lga to ye kya h Shiraz ammi ki awaz aae unke hath me kuch tha. Ye photo kis ka h ye to bta do unhone photo ko samne kar diya. Shiraz mujhe such such sab kuch bta do aap es ladki ko psand karte ho.

Tumhe meri kasam Shiraz aap jhut nhi bole ge. Ab btao ab Shiraz ke pas koe rasta nhi tha to usne sab kuch bta diya. Ammi agar aap ki marzi hogi tab hi me ye rishta aage badhauga. Kya wo ladki bhi aap ko psand karti h mujhe nhi pta ammi me chalta hu der ho rahi h. Shiraz chala gya.



  Shairin ji dadi Aliza ki sas aa rahi h jaldi se khane ki tyyari kro abhi unka phone aaya tha. Ji dadi sab ho jayga. Wo aae aur aate hi dadi ke sath ek room me bat karne chali gae. Me yha ek kam se aae hu btay begum Ahmad kya kar sakte h aap ke liye. Me Shiraz ke liye Shairin ka hath magne aae hu ye to bahut achi bat h. Lekin ham Shairin par apna fesla thopna nhi chahte hame to khushi h ke etna acha rishta aaya h. Agar wo khud ye fesla le to behtar hoga.
Me bat krogi usse aur aap ko bta dugi. Theek h to phir me chalti hu.

Shairin aap ke liye Shiraz ka rishta aaya h. Dadi ne ye btaya to wo heran reh gae. Aap btao kya khu unse. Mera to aap ke aur uncle ke siwa koe bhi nhi h aap log jobhi sahi samjhe Shairin ne kha. Theek h me aap ke uncle se bat krugi. Shairin aap to khush hena. Dadi aap sab ki khushi me meri bhi khushi h.

Hamdan ji abbu Shairin ki dadi ka phone aaya tha. Ji sab khariyat h Hamdan ne sarsari se nazar apne abbu par dali aur pucha. HU Shairin ke liye ek rishta aaya h wo bta rahi thi bahut acha ladka h ache khandan se taaluq rkhta h. Abbu bta rahe the aur Hamdan khamosh betha unhe dekh rha tha. Unhone hmari ray magi h btao kya khu. Huu. Hamdan ne bas etna kha. Es bat ne uske andar halchal mcha di thi.

Hamdan me tumhara bap hu esliye tum se puch rha hu. Me janta hu aap Shairin ko nhi abbu Hamdan ne jaldi se kha Ye ghar kabhi bhi Shairin ko khushi nhi dega. Ammi kabhi use khush nhi rehne degi. me chahu tab bhi esa nhi ho sakta apni khushi ke liye me uski aakho me aasu nhi bhar sakta abbu aap us rishte ke liye ha kar dijye. Hamdan ye Keh kar ruka nhi kyu ki dil par pathar rakh kar usne use kisi aur ke nam kar diya tha ye ek tarfa muhabbat ka emtehan tha aur dil pareshan


"Teri khushi ko dhud kar me la nhi sakta

Kitna majbur ho chahu bhi to tujh ko pa nhi sakte".


Aur phir wo din bhi aa gya jab Shairin dulhan bankar Shiraz ki zindagi me aa gae.bahut khubsurati se room ko sjaya gya tha har taraf phul hi phul the sara room mehk rha tha. Vo room ka jayza le rahi thi. Tabhi Chalo bhai bhabi intezar kar rahi h. Es awaz par Shairin sabhal kar beth gae.ladkiya use room tak chod kar chali gae aur Shiraz andar aaya, "ye aap ki muh dikhae h" ummeed karta hu aap ko yha koe problem nhi hogi. Ek gift pack uski taraf bdhate hue usne kha. Shairin sar jhukay bethi thi. Usne koe response nhi diya. Aap change kar le aur aaram kare aap bhi thak gae hogi. Ye keh kar wo jane laga to Shairin ne herani se kha, "ye kesi muh dikhae h" matlab. Matlab ye ke aapne muh hi nhi dekha to muh dikhae kesi. Uski awaz me shiqva tha. Aap ka ye chehra hame dekhne ki zaroorat nhi ye to dil me basa h.

Jab aap ka aur hmara koe rishta nhi tha. Tab aap hamare etna qareeb aa gay the Aur aaj jab aap ka pura haq h to chod ke ja rahe h. Ye keh kar Shairin uthi aur apne lehge me ulajh gae     dhadam        Shiraz ne sabhalne ki koshish ki aur dono bed par gir pad. Ek lamhe me hi dono ek dusre ki baho me the. Shiraz aap ko chot to nhi lagi Shairin ki fikr mand awaz sunkar Shiraz muskuraya aur kha ab to haq he mujhe aap ke asu pochne ka aap ko dekhne ka qareeb aane ka Shiraz ne kha to Shairin ne apna sar Shiraz ke kadhe par rakh diya aur dhere se kha pura haq h. Shiraz ne use baho me le liya aur Shairin ki zindagi me khushiya bekhar gae aur dono ne khuda ka shukar ada kiya.


Happy ending 



From online magazine 

Tuesday, 18 December 2018

Online magazine Anjani si ek ladki 10th part

Online magazine Anjani si ek ladki 


10th part of this story 


Andar se aati awaze Sun kar Shiraz darwaze par hi ruk gya tha. Shehryar apne room me ja chuka tha. Aur ammi papa Hall me sir pakde bethe the. Slamun elekum es awaz par sar uthaya tha. Walekum slam aap aa gae Shiraz ammi ne kha tha. Ji ammi, "aap fiker mand si kyu lag rahi ho."Shiraz ne kha. Kuch nhi beta aap fresh ho jao. Pehle aap ye btay pareshan kyu ho. Btaogi aap ko lekin Pehle aap fresh ho jao. OK ammi me fresh ho kar aata hu ye keh kar Shiraz chala gya.


Aao Shiraz khana khalo mere aatehi ammi ne kha. Aur sab kha h Shiraz sab samajh gya tha magar ammi ke batane ka intezar kar rha tha. Beta aap shuru kro papa aur Shehryar bad m bad me kyu ammi ki bat khatm hone se pehle hi maine kha. Gaffar baba jaye papa Aur Shehryar ko bula kar lay lekin, "lekin kya ammi aap kuch bta nhi rahi h aur sab tension me h. Ye sab abhi clear krna hoga.

Shiraz beta samajh me nhi aa rha h ki aap ko kese batao ke aap ke chote bhai Aliza ko pasand karte h aur shadi karna chahte h. Aur hame hmare khandan ko badnam karne par tule hue h. Ye papa ki awaz thi jo aate hue sab kuch bta rahe the. Aur Shehryar sar jhukay khada tha. Wo Shehryar ki taraf gusse se badhe the. Chale jao mere samne se Shehryar aaj tak aap ki har galti maf kiya maine. Aap ki har zid ko pura ki aur aaj aapne mera sar sharm se jhuka diya h. Ji to ye karraha h papa ka hath Shehryar ke gal par padne hi wala tha. Aap kyua kar rahe ho papa please khuda ke liye esa mat kijye .Shehryar  Aap apne room me jao main aata hu. Aap dono uses es tarha kyu bat kar rahe ho. Ke jane ke bad Shiraz boland. Main janta hu Shehryar se galti hue h. Lekin agar wo etna series h to main chahu ga ke Shehryar ki shadi Aliza se ho Jay.



Lekin beta aap ko koe fark nhi padega bilkul nhi. Aap to janti h mujhe abhi shadi nhi karni thi. Aap ki khushi ke liye maine ha kardi thi. Lekin agar Shehryar es shadi se khush h to problem kya h. Aur log kya kahe ge ke bade ki shadi nhi ki aur chote ko dulha bana bethe. Ammi ko meri fikr ne ghera tum me hazar kami dhude ge log. Aap ko meri wajha pareshan hone ki nhi Shehryar ki khushi ki fekr karni h. Lekin Aliza ki family se kya kahe ge kon bat karega me kese kahugi ki ye sab.ye aakhari swal ammi ne kiya tha.  Ammi papa bachpan se hi aapne hame har khushi di he. Aaj me aap ka sar jhukne nhi duga. Sari bat me khud karuga aap pareshan na ho es ghar ki ezzat par aach bhi nhi aaygi

Aap jesa bhai khuda sab ko de ammi ne dua di. Thank you bhai Shehryar sab sun chuka tha. Shiraz ke upar aate hi wo usse lipat gya tha. Mujhe maf kar dena bhi. Oey tune koe jurm kiya h nhi fir me tera bhai hu teri khushi meri khushi h. And thanks to you Shiraz ne kha kyu bhai Shahrya ne pucha mujhe bachane ke liye matlab. Matlab ye my brother ke me Aliza se shadi nhi karna chahta tha. Kyu bhai, "bas ase hi kehkar Shiraz jane laga"  to Shehryar bola aap kisi aur ko like karte ho. Kisi ko bahot chahte ho batao na bhai esa nhi h usne kha. Esa he bhai kyu ki aap ki akho me wo hi khushi h jo meri aakho m aur ye khushi mohabbat ki h jo aap kisi se karte h batao na bhai. Shehryar zid karne laga aur wo ye soch rha tha ke sab mehsuus karte h ke pyar h magar jiske liye ye chahat h use kabhi ahsas kyu nhi hota.



Agle din
Slamun alekum dadi Shiraz ne jakar slam kiya us din ke bad wo pehli bar gya tha. Aur wo katile jan wahi bethi dadi ke pao me tel laga rahi thi. Aur jese hi wo uthi thi achanak Shiraz ki nazro se nazre takrae thi aur Shiraz ne nazre jhuka lipat thi.........
.........




Next part after 2nd days 


Online magazine 


From zindagi 





Thursday, 13 December 2018

Online magazine Anjani si ek ladki 9th part

Online magazine Anjani si ek ladki

9th part of this story


Shiraz ye sun kar chup ho gya aur ammi engejment ke card le aae. Kya hua Shiraz aap khamosh bethe ho.ji nhi kuch nhi. Tabiyat theek h aap ki. Ji ammi me bilkul theek hu aap pareshan na ho. Theek h ye card le jana aap ke papa ko batne he unhone mgay the.ammi ye card aap do din bad bat dena lekin do din bad kyu. Ammi ne swal kiya nhi bas ese hi keh kar Shiraz jane laga to ammi ne ha kar di. Theek h Shiraz jesi aap ki marzi. Aur Shiraz office chala gya.

 Shehryar zra aap meri madad kardo ye engejment cards par relative ke name likh do. Aao kya Soch rahe ho aap.

Kya bat h Shehryar aap dono bhaiyo ko kya ho gya h aap apne friend ke sath busy rehte ho aur Shiraz to pta nhi konsi duniya me rehta h. Mujhe to fikr hoti h. Kal ko Aliza shadi karke aaygi to es trha kese rahegi Shiraz ko samajhna chahiye ke wo ese rahega to kese chalega aur tumhe bhi khud ko bdlo. Ammi ne lecture suna diya tha magar Shehryar ka dil bochal ho rha tha. Mujhe nhi karna kuch main ja rha hu. Ye keh kar Shehryar jane laga. To ammi bol uthi thi. Shehryar aap ko aaj jwab dena hoga. Kuch din se aap bahut busy h. Maine koe swal nhi kiya lakin ab Aur aaj ye behave are mujhe wajha janni h. Lekin Shehryar bina kuch kahe chala gya. Aur ammi herani se dekhti reh gae.



Kyu mujh se esa hua me kya btao kya kru sab kya sochege piyar bhi hua to room me aate hi Shehryar apne aap se ye swal karne laga. Tabhi mobile ring karne laga.

Hello, "kya hua aap etne pareshan kyu h. "
Us ki fikr mand aawaz aae. Aur Shehryar bujhi awaz se bola kuch nhi.  kya socha aapne kya karna h. Kuch samajh me nhi aa rha h. Sab log aap dono ki engejment ki tyari kar rahe h. Kese kahu ke ye mat kro kyu ki me aap se shadi karna chahata hu. Etne din se ham dono ek sath h. Ek dusre ko pasand karne lage h. Aur ek dusre aur kya baqi reh gya. Ye ammi ki awaz thi jinhone darwaze ke piche sab sun liya tha.  Shehryar aapne kyu esa kiya aap kese kar sakte ho apne bhai ke sath.


Ammi aap meri bat sun ye plz ammi Shehryar ne ammi ka hath pakad liya. Nhi kuch nhi sunna. Ammi hath chudane ki koshish karne lagi main a bhi aap ke papa ko bulati hu. Ye kehkar unhone call kiya.


Kya hua begam aapne ergent kyu bulaya. Unhone sari bate papa ko bta Di.

Esa nhi ho sakta sari bat jan kar papa ka fisla tha.

Magar hall se aati awazo par Shiraz thehar gya tha. Ammi plz aap ko kuch nhi karna Aliza khud apne ghar me bat kar legi. Ammi mera bhi fesla yhi h. Ki main shadi kru ga to Aliza se warna nhi. Ye kehkar wo apne room me chala gya. Aur Shiraz darwaze par hi thehar gya............
..............


Read continues 

Online magazine 

From zindagi 

Tuesday, 11 December 2018

Online magazine Anjani si ek ladki part 8th

Online magazine

 Anjani si ek ladki 

8th part of this story

Shiraz chala gya tha jab Gulbano doctor se dawae lekar aae. Shairin bibi ji aap kha ho usne aate hi Shairin ko awaz di. Shairin ne jaldi se apne aaso poche aur bahar aa gae. Kya hua Gulbano sab theek h na ji bibi maine dawae doctor ke hi khali thi. Ab main sone ja rahi hu. Theek h aap aaram kro. Gulbano ko uske bistar par lita kar wo apne room me aa gae.


Shairin ko barbar yhi khayal aa rha tha. Agar dadi ko pta chala to kya hoga meri kya ezzat reh jaygi ghar. Me sab kitna khayal rakhte h. Uncle bhi kabhi kuch nhi kehte. Saif to Bhai jesa h aur Aliza kya sochegi. Me dadi ko kya jawab dugi. Shiraz jese insan ka kya barosa usne sab ke samne keh diya to kya hoga ye sochte sochte wo kab so gae pta hi nhi chala.



Good morning dadi. Good morning beta unhone jawab diya. Shairin ne chay ka cup aage bdaya. Aapne hame bataya kyu nhi Shairin kya ham par barosa nhi tha. Chay ka cup lete hue unhone kha. Aur Shairin ki jan halaq me aa gae thi. Kya nhi btaya dadi wahi jo batana chahiye tha. Shiraz aap se esi ummed nhi thi. Usne dil me kha. Gulbano ko tez bukhar tha aapne btaya nhi. Ye sunkar Shairin ki jan m jan aa gae thi. Dadi aap be wajha pareshan hoti bas esliye hi nhi btaya.

Lekin ab to me theek hu. Gulbano ne aate hue kha. Kesi tabeeyat h aap ki dadi ne pucha main bilkul theek hu aap fiker na kare. Aur Gulbano kitchen me chali gae. Dadi main bhi chalti hu warna late ho jaugi. Ye keh kar Shairin bhi school chali gae.Aap kha jarahi h Aliza ko jate hue dadi ne pucha dadi friend ke sath bahar jana h. Use shopping karni h. Jao dadi. Theek h beta dadi ne ejazat de di thi.



Edar Shiraz pareshan tha usne Shairin ko keh to diya tha ke wo use pure haq se lejayga magar use koe rasta nhi mil raha tha. Es bat ko one month guzar gya tha na usne Shairin se milne ki koshish ki na kisi ko kuch btaya tha. Magar ek hasti esi thi jis par Shiraz ko pura bharosa tha ke wo jo bhi karega wohi sahi hoga. Wo tha parwardigar e allam hamara khuda jo apne bando ka pura khayal rkhta h. Aur jo hamare haq m behtar hota h wahi karta h Shiraz namazi insan tha. Din rat wo ye dua karta tha ke us ladki Shairin ki zindagi me jo pareshani ho wo dur ho jaye aur uski zindagi khushiyo se bhar jay.


Shiraz tumhari ring sarmany ki date fix ho gae h. Aaj se theek 7th days bad aapki ring sarmany h. Ammi ni Shiraz ko aa kar btaya tha. Ji etni jaldi, "jaldi kha h ammi ne kha ek maheena hogya h aap ki bat Tey kiye hue."  Abhi tak koe faction nhi hua. Ab sab ko btane ka time aa gya h. Ke aapka rishta tey ho gya h. Ammi ye khabar de kar chali gae aur Shiraz soch me padgya............

..........


Read continues..... 


Next part after 2nd days 


Online magazine 


From zindagi 

Sunday, 9 December 2018

Online magazine Anjani si ek ladki part 7th

Online magazine

Anjani si ek ladki

7th part of this story

Shiraz ke andar jese koe tufan tha. Usi Soch me duba hua wo ghar aaya. Aap kha reh gay the Shiraz ghar aate hi ammi ki awaz aae. Kahi nhi bas thodi der hogae h. Shiraz aap pareshan h kya koe problem h. Nhi ammi aap esa kyu puch rahi h. Kyu ki beta aap subha gay the. Aur ab aay ho aap ki koe meeting bhi nhi thi wo kal h. Aapke papa ne btaya tha mujhe. Aap aap ka chehra etna pareshan hal h. Ab aap khud hi bta do ke kya problem h. Nhi ammi koe bat nhi h aur agar hogi to aap ko sab se pehle btaoga. Aap Sach keh rahe h. Ammi ne pucha. Ji ammi belkul Sach. OK beta ab jaker ready ho jao. Kyu ammi aap ko yad nhi, party m jana h.Aapke Papa ke dost ke yha par nhi ammi main nhi jaoga kyu Shiraz ammi mere sar me dard h. Maine jawab diya. OK. Jesi tumhari marzi ham sab ja rahe h. Apna khayal rakhna ye keh kar ammi chali gae. 




Shiraz ne bahut Socha aur na jane kya Soch ker wo rehma wella ja pahucha. Pta nhi konsi kashish thi jo use yha le aae thi. Magar get par aaker ruk gya tha. 


Gulbano ko doctor ke ache se dekha aur koe problem ho to call karna. Theek h bibi ji. Ye Shairin ki awaz thi jo driver ko samjha rahi thi. Yha koe nhi h warna m khud jati aap ke sath aap ka bukhar jaldi utar jayga pareshan mat hona usne Gulbano se kha aur wo log Chale gae. 


Shiraz ko pta tha ke ghar m koe nhi h. Vese bhi wo Shairin se akele milna chahata tha. Esliy wo andar aa gya. Kon h kon h waha aahat pa kar Shairin ne kha. Maine hu Shairin Shiraz ko dekh kar chok gae thi. Ji aap slamun elekum usne jaldi se slam kiya. Walekum slam ji betye m pani lati hu. Ye kehkar Shairin pani le aae. Thank you pani le kar Shiraz ne kha. Sab log party m gae h. Es waqt yha koe nhi h. Aap kal aa jayga sab se milne ke liye. Shairin ne saf bta diya tha. 

Magar main jesse milne aaya hu wo to yhi. Jab Shairin jane lagi to Shiraz ne kha. Aap mujh se milne aay h Shairin ko herat hue kyu Shiraz sahab kheryat to h. Aap ko jab se yha dekha h. Maine janna chahata hu ke kya hua tha us din. Tum kon ho tuhare parents kon h sab kuch. Lekin kyu btao Dekhye Shiraz sahab aap ka reshta es ghar se juda h aapki ezzat karna mera farz h. Esse ziyada kuch nhi. Aap bethye sab log aajay to milkar jana. Ye kehkar Shairin jane lagi to Shiraz ne uska hath pakad liya. Aap kya kar rahe h, aap jante bhi h. Chodye mera hath Shairin ne hath chudane ki koshish ki. Shairin please btao na kya hua tha. Aap mera hath choda Shiraz. yha to mujhe sakun se rehne do. Us ghar se beezzat ho kar nikali gae thi please mujhe yha ezzat se rehne do please.. 
Ye kehte hue asuo jhadi lag gae thi. Shairin aap roo nhi Shiraz ne uske aasu poche the ke Shairin ek jhatke se khadi ho gae aur use khud se dur kar diya. Aap jante bhi h aap kya kar rahe h. Phle aapke dosto ki wajha se bahut sha h. Ab aur kuch nhi ye keh kar Shairin apne room me aa gae aur room ko bad kar liya. 



Shairin meri bat suno mera koe galat erada nhi h. Aap sun rahi hena. Shairin meri bat suno please 

Bat bas etni se h jab se maine aapko dekha h m bhula nhi paya hu ye mohabbat h ya nhi mujhe nhi pta. Bas main aapki aakho m aasu nhi dekh sakta. Jo galti aapne nhi ki main aapko uski sza nhi bhukatne duga . Shairin please mujhe samajhne ki koshish kro. Open the door bahut der bad Shairin ki awaz aae thi. Agar aapko meri etni hi fikar h. Shiraz to aap es waqt yha se Chale jao. Agar aapko kisi ne es waqt yha dekh liya to meri ezzat par ek elzam aur lag jayga. Theek h Shairin m ja rha hu lekin ek bat yad rakhna ab ye Shiraz Ahmad ab aap se jab bat karega to puri ezzat aur haq ke sath karega warna main aapko kbhi apni shaql nhi dekhaoga.ye kehkar Shiraz chala gya aur Shairin us bad kamre m roti reh gae............... 
............. 



Read continues.......... 


Next part after 2nd days 



Online magazine 


From zindagi 




Saturday, 8 December 2018

Online magazine Anjani si ek ladki 6th part

Anjani si ek ladki online magazine

6th part of this story

This story about a girl destiny


Hamdan ne shairin se pucha kesi ho aap bas Allah ka karm h. Usne jawab diya. Ye ek restaurant tha jha Shiraz  meeting attend karne gya tha. Wha Shairin ko kisi ladke ke sath dekh kar use ajeeb lga tha. Magar Shiraz se bekhabar wo dono apni hi baton m busy the.


Uncle aunty kese h. Bas wo bhi theek h. Aaj hamari yad kese aa gae aap ko, "ham to hamesha hi aap ko yad karte h" aap hi ke pas hmare liye waqt nhi h. Nhi Hamdan esi bat nhi h. Janta hu safae dene ki zarurt nhi h. Ye to waqt ki bat h, aur tumhari zid wrna 2din bad hi apne sath le jata. Jab mujhe tum mili thi.. Aur agar m us rat yha hota to ye nobat hi nhi aati. Ki koe gali ke gunde tumhe uta kar le jate. Aur na ammi ko tumhe ghar se nikalne deta. Aur na aaj ham es tarha dur hote.



Kab tak aap esi bat ka afsoos karte rahoge. Jab tak m aap ko aap ka haq aur ezzat wapas nhi dila deta, aur jab tak tumhari aakho m ek bhi aasu baqi h.

AAcha baba karte rho jo aap ko karna h me jarahi hu. Kha ere mujhe school ke liye let ho jayga. Aap mujhe se picha chudana chahti ho. Kyu Shairin ne kha. Kyu ki aaj Sunday h. Aur Shiraz ko yad aaya ki uski meeting bhi Monday ko h. Rat ko destrub rehne ki wajha se use yad nhi raha magar Shiraz apni jagha betta rha. Oh me bhul gae thi.shairin ne kha. Aap bhuli nhi thi m janta hu. Aap meri bato ki wjha se ja rahi thi hena. Aap jante h. To phir esi bate kyu karte h. Mere sath jo bhi hua wo shayad ache ke liye tha. Ab dekho na us waqt aunty ki bate dil dukhati thi. Aur ab dadi ki bate hoasla deti h. Kabhi Kabhi m sochti hu Hamdan mera ghar chodne ka fesla kitna sahi tha. Ab aunty bhi khush aur m bhi. Dadi ki shaql  m mujhe phir se ek ma mil gae h. Maine zaroor koe acha kam kiya hoga jo khuda ko etna pasand aaya aur usne mujhe dobara ma jesi nemat ata kar Di. Hu kha kho gay Hamdan sahab. Aap ko khush dekh kar bahut sukoon milta h. Maine to bas yehi dua karta hu aap hamesha khush rahe. Aur.......  aur kya  Aur.... Aap ko ek nek dil hamsafar mile. Aur wo aapke kadmo m sari kaynat rakh de.            πŸ˜Š




                                                      😊🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹I πŸ˜Š



Bas bas Hamdan sahab thodi duae apne liye bhi karlo. Shairin ki es bat par Hamdan ne bas etna kha, agar ye dua puri ho gae to samjho sari tammana puri ho jaygi. Acha ji  hu... Kehkar Hamdan muskurane lga.

                     πŸ˜ŠDekh kar tere labo par mukuraht  sochta hu main 

                               Mere malik ne tujhe fursat me trasha ho ga

Thodi der bate karke wo dono Chale gae. Magar Shiraz sochta reh gya ki kabhi kabhi kisi ki ek galti kisi dusre par kitni bhari padti h. Kitni mushkilo ka samna kiya hoga. Ek akeli ladki hello Shiraz aap yha es aawaz par uski soch khatm ho gae ye Ashraf tha uska wahi dost jo sab janta tha. Kya hua bhai aap chup kyu h. Nhi kuch nhi btao na kya hua Ashraf ne zor diya kya Soch rahe ho. Pta nhi yar jab se tum logo ne us ladki ke sath us bat ko 6 months ho gae h. Ashraf bich me hi bol gya. To 6 months se koe kitna pareshan h aap ko pta bhi h. Shiraz ko gussa aa gya tha. Dekh bhai gussa mat kar ab tu hi bta ab es bat se koe fayda h. Ya nhi. Magar Shiraz 6 months bad aaj phir tujhe ye sab kyu yad aaya. Mile ho tum us ladki se Ashraf ne swal kiya. Maine chalta hu Kehkar Shiraz jane laga tha tab Ashraf ne kha, "dekh bhai me nhi janta ke kya h. Magar jab se tune us ladki ko dekha tha tab se tera khayal wahi rehta h". Jo galti ho gae h use ham badal nhi sakte magar agar tere dil m us ladki ke liye kuch h, aur wo tujhe mili h to use dur mat jane dena mere bhai me ye sab teri khushi ke liye keh raha hu.


Ashraf ki bat khatm hote hi Shiraz wha se aa gya magar dil me yhi swal gunj rha tha mujhe etna farq kyu padta h. Kyu me uske bare m jan kar gusse m aa gya kyu uski sujee roe roe si aakhe sada aasuo se dhula chehra masoom aks aaj bhi m mehsus karta hu. Kahi mere dil ko uski aarzo to nhi...................
.....................





Read continues................. 


Next part after 2nd days 


Online magazine 



From    zindagi 

Thursday, 6 December 2018

Online magazine Anjani si ek ladki 5th part

Online magazine Anjani si ek ladki
Online magazine Anjani si ek ladki

5th part of this story

This story about a girl


Shiraz nazar htana bhul gya tha. Aur Shairin ko dekhe ja rha tha. Kuch der bad use yad aagya tha. Are ye to wahi ladki h. Magar ye yha kese. Ashraf ne to koe aur adress btaya tha. Uske ghar ka wo ye soch hi rha tha. Are aap yha h. Sab aap ko bula rahe h. Ji m aata hu. Ye kehkar wo wha se chala gya magar us ke zehan m jo swal the unka koe jwab nhi tha. Ye sare jwab ek hi insan de sakta tha wo thi khud ye ladki . Are aap kha reh gay the beta. Ammi ne bad kar kha m yhi tha ammi. Aap ko Aliza se koe bat karni h.ya m ha kar dude. Ammi puch rahi thi. Jesa aap ko sahi lage. M yha aap ke liye aaya hu. Shiraz ne bas etna hi kha.


Hame ye rishta manzur h. Aaj se aap ki Aliza hmari hue. Ammi ne  ha kardi thi. Aur sab bhut khush the es rishte se. Shairin bhae meetae to lao dadi ne awaz di thi. Shairin meetae ki palet le kar aae aur sab ka muh meeta kraya. Are hmare bete ko bhi to meetae khilao. Shairin uski traf mudi thi aur ek hi pal me use us dard bhari rat ka har lamha yad aa gya tha. Dono ki nazre mile aur wo ek dusre ko dekhte hi rh gay. Mubarak ho bhai ere meetae to khao. Ye Shehryar tha es awaz par Shairin piche hat gae thi. Bhai Aliza se bat to karlo usne Shiraz ke kan m kha. Aliza nhi bhabi h aap Shehryar. Ammi ye sun liya tha aur use tok bhi diya tha.


Ji nhi ammi wo meri dost ban gae h. Es liye m to nam se hi bulauga. Lekin beta rehdo unki bat bich m kat kar dadi ne kha, "ye nay zamane ki junretion kisi ki nhi manti h." koe bat nhi nam lene m hi kya burae h. Ji bilkul theek h unhone kha.Aur phir  dinner kar ne ke bad wo log Chale gay. Magar Shiraz ke andar na jane kitne swalo ka tufan tha. Ghar jakar bhi Shiraz usi ke bare m sochta rha aur finel kar liya ke usi se puch lega kya hua tha. Sochne se bhi kya faida tha.




edhar Shairin aapko nhi lagta Shiraz sahab kuch ziyada hi sharif ban rahe the. Bilkul chup no questions esa hota h πŸ˜”koe bas dua salam btao na Shairin aap kyu chup h. Aliza ne Shairin se puch. Nhi kuch nhi kuch log hote h ese bhi. Sab log aap ki tarha nhi hote hena patar patar. Hote kyu nhi uske bhai ko dekha h mujhe se bhi ziyada bolta h. 2 second me hi mujhe se dosti karli. Acha baba ab aap bhi thak gae hogi so jao subha bat karege. OK wase Shairin wo na bilkul tumhare Taipe ka h. Sadu kahi ka Aliza ne jati hue Shairin ka cheda tha. Tumhara matlab m sadu hu ab m aap se bilkul bat nhi karugi. M ja rahi hu good night Shairin ne bnavti gussa dikhaya. Are are aap to naraz ho gae. Aliza ne kha Sorry my friend it's joking dear.  koe bat nhi Shairin ne kha wase Shairin tum sadu nhi ho. hu..        Mha sadu ho  πŸ˜œYe keh kar Aliza ki hasi ki awaz dur tak phel gae thi πŸ˜œπŸ˜œπŸ˜œπŸ˜œπŸ˜œπŸ˜€πŸ˜€πŸ˜€        Shairin bhi muskurane lagi πŸ˜ŠπŸ˜Š





Shiraz nashta karke office jao beta jab wo jane wala tha to mamma ki awaz aa gae. Mamma mane coffee leli h. You do not worry. Aaj ek calint se meeting h. Nashta wahi hoga. OK beta khuda haffiz. Mamma ne kha aur wo ghar nikal gya.


Slamun elekum  wo busy tha jab ye awaz uske kano m padi. Walekum slam sath wali table se jwab diya gya tha. Waha ek ladka beta tha. Kese h aap Hamdan m to theek hu aap btao Shairin. Kesi ho. Bas Allah ka kram h......................


Read continues........ 


Next part after 2 days 


Online magazine


From 

Tuesday, 4 December 2018

Online magazine Anjani si ek ladki 4th part

Letest storyAnjani si ek ladki 

4th part of the story

Online magazine

This story about a girl 

Shairin kya hua kha kho gae. Dadi ki aawaz par wo chok gae thi. Nhi Dadi kuch nhi usne jaldi se kha tha. Dadi jan aap belkul fiker mat kijye. Aaj ka din bhut khas h. Aap ke liye aur ham es me koe kami nhi hone dege.

Shairin ne kha me sari tyyari kar lugi Aur aap aram kro. Dadi ne bade pyar se kha tha,"mujhe pura bharosa h aap sab kuch acha hi karo gi". Ye kehkar dadi room m chali gae thi. Aur Shairin kam me lag gae thi. Me bhi kuch madad kar du es awaz par maine nazar utha kar dekha. Samne Saif muskura rha tha. Ji bahut shukriya. Aap pareshan na ho sab ho jayga. Bas aap time par ghar aa jayega  OK.
Aap hamesha esa kyu karti h. Me aap se friendly rhta hu. Aur aap hamesha bas hu ha. Esa kyu. Saif hamesh es bat ko notice karta tha magar aaj usne zahir kar diya tha. Ke wo hamesh resarv rhti h.magar Shairin us ko kya btati ke ye sab pura experience tha. Jiski wajha se wo khamosh ziyada rhti thi. Aur ziyada ghulti milti nhi thi. Magar Aliza se us ki dosti ho gae thi.Saif ko wo Saif bhai kehti thi. Magar janti thi duniya kabhi seedha nhi sochti h. Bas es liye wo
Ziyada tar chup rehti thi. Magar Saif ko kya samjhati es liy bas etna hi kha esi koe bat nhi h. Maine bas
Tabhi dadi aa gae aur puchne lagi ho gae preparation ji dadi bas ho rahi h. Saif ji dadi aap kahi ja rahe h. Ji dadi bas ek friend ke pas ja rha tha. Saif ne kha tha. Theek h Chale jao aur wapas aate hue achi meethaeya lete aana. Ji zaroor acha dadi khuda hafiz. Ye keh kar Saif chala gya.
Online magazine Anjani si ek ladki


Shairin ne sab kuch bahut acha kiya tha. Slamun elekum ammi, "walekum slam beta aap aa gae" ji ammi .  Sab kuch ready h.unhone swal kiya tha. Ji beta sab kuch ready h. Aap bas fresh ho jao dadi ne kha. Ammi wo log aane wale h. Aliza tyyar  h. Aapne usse bat kar li thi na, "jii beta tumhari khushi me hi us ki khushi h". Theek h ammi me fresh ho kar aata hurt. Ye keh kar uncle Chale gae. Bi jan wo log aa gae. Gulbano dodi hue aae thi.Dadi me nashta tyyar krati hu. Ye keh kar wo kitchen me aagae thi. Dadi ne khushi se welcome kiya. Slamun elekum, "walekum slam aaeye aaeye badi der kar di aane m" ham to kab se aap ka rasta dekh rahe the. Jii bas thoda time lag gya. Koe bat nhi Bhabi ji time to lagta hi h. Ye uncle ne aate hue kha tha. Gulbano mujhe aakho dekha hal sunati rahi. Bibi ji wo bas char log h. Ammi abbu aur dono bete h. Bibi ji dono ladke khubsurat h. Pta nhi Aliza Bibi ka reshta kiske sath hona h. Use badi Soch thi. Gulbano aap etna kyu soch rahi. Aliza ke liye unke dad ne acha hi ladka pasad kiya hoga. Hu



Ab jao jaldi se nashta laga aao. Ji bibi ye keh kar wo sarve karne chali gae thi.Aliza sab ko psand aae thi. Chota bhai Shehryar to khub bolne wala tha Aliza se khub bate kar rha tha. Magar bda bhai Shiraz ahmad kam bolne wala tha. Gulbano ne sab ko chay sarve ki. Sahab chay ye keh kar usne Shiraz ki traf chay bdae thi ke achanak cup aada ho gya. Aur thodi chay Uske uper gir gae. Mafkarna sahab galti se. Gulbano ne jaldi se mafi magi. Koe bat nhi aap washroom bta dijye. Aaeye aap mere sath ji. Shiraz ko Gulbano ne washroom tak chod diya tha.



Ye mamma ne kha phasa diya h. Maine kha tha abhi nhi karni shadi magar meri nhi mani aur uper se ye chay. Wo bdbdata hua aa rha tha. Jese hi wo kitchen ki saed se nikla kisi ki hasi ki awaz ne Uske kadam rok liye the. Jese hi usne nazar utta kar use dekha to dekhta hi rh gya. Gulabi colour ke suit me uska gulabi aks aur makeup ke bina sadgi se bharpur chehra aur us par ye hasi usko char Chad lga rahi thi. Magar aur bhi kuch tha jo Shiraz Ahmad nazar htana bhul gya tha.....................


Next part after 2nd days 

Online magazine

Read continue


From  zindagi 

Saturday, 1 December 2018

Anjani si ek ladki 3rd part online magazine

Letest story Anjani si ek ladki online magazine 

              3rd part of the story 

Beta bas kro ab chup ho jao. Mera ro ro kar bura hal tha. Wo aunty mujhe chup krane ki koshish kar rahi thi. Shairin suno meri bat suno mere hi sath esa kyu hua. Maine unki bat kat kar kha tha. Ab main kya kru kha jao koe rasta nhi h.
Esa nhi kehte beta khuda bda raheem h. Wo ek rasta band karta h to ek rasta khol deta h. Ab aap nhi roygi. Samjhi. Unke lehje m dant aur pyar dono tha. Jisne mujhe apne aaso pochne par majbur kar diya tha.hello es awaz par ham dono me dekha tha. Ye nurse ki awaz thi. Mam ye enke discharge papers h. Aap sing kar dijye.ji zaroor kyu nhi. Aur wo paper sing karne lagi tab hi unka mobile par call aagae. Aap kha ho dadi jan a apne kha tha thodi der m aa jaygi. Dadi jan subha ho gae h. Acha baba sorry, ek kam kro gadi lekar city hospital aa jao"ok. Lekin aapne kuch btaya kyu nhi aap ki tabiyat bilkul theek h. Wo bech m hi bol gae. Aap gadi le aao bas rat maine driver ko bhej diya tha. OK dadi ham aate h. 




Phone par mera pota tha main rat ghar nhi thi to pareshn ho gya. Darasl mere ek poti aur ek pota h. Enki ma enko bachpan me hi tanha chod kar allah ko pyari ho gae. Dono ko maine pala h. Magar Saif mujhe se ziyada kareeb h. Aliza apni duniya m friends m busy rehti h. 
Magar Saif mere hi piche rhta h. 

Shayad meri hi tarif ho rahi h. Ha Beta ji aap ki hi tarif ho rahi h. Unhone us ki taraf badte hue kha tha. Aur usko apne sath le aae thi. Yhi h mera shararti pota dadi ab main bda ho gya hu. Acha mujhe to pta hi nhi tha. Saif ne muh bnaya. Aur muskurane laga. Dadi ye kon h. Usne meri taraf ishara karke pucha tha. Beta ye Shairin h. Enka accident hmari gadi se ho gya tha. Shairin ye Saif h. Wase Saif aap ko pta h Shairin ab hmare sath rahe gi. Nhi aunty m nhi tum hamare sath chalogi. Meri bat ko bech m hi kat diya tha. Magar kuch nhi. Ok
Acha dadi ab ghar Chale, "theek h chalte h". Maine gadi back karta hu. OK,aap esa kyu Saif ke jane ke bad maine kha tha. Beta ham aapke sath kuch din rehna chahte h. Kya aap hmari ye arzoo puri nhi kro gi.Plz. Chalo hamare sath agar hmare sath nhi jana h. To aap apne uncle ko call kar dijye wo aap ko apne sath le jayge. Beta ham aap ko yu raste m nhi chod sakte. Aunty m uncle ko call nhi kar sakti. Un logo ko meri wajha se problem hoti h. Aur ye mujhe acha nhi lagta. To theek aap ab hmare sath rahegi. Ye hmari request h. Aapko koe problem hue to aap jesa chaho vahi karna.


Wo mujhe zid karke aapne sath le aae thi. Gadi ek bade se darwaze par ruki thi. Watchman ne darwaza khola . Aur gadi andar aa gae. Ye ghar kisi mahal jesa tha. Wo mujhe aapne sath andar le aae. Aur betne ko kha. Gulbano ji bibi jan zra achi si chay bnado. Ji bi jan abhi lati hu. Are aunty eski koe zaroort nhi h. Aap hmare sath aao ji. Aaj se ye room aapka h. Mujhe ek room m lakar unhone kha tha. Shairin kuch din yha raho aur me aunty nhi. Dadi hu aap bhi mujhe aaj se dadi hi kho gi ok.
Ek din ese hi guzar gya dusre din. Bibi aapko bijan ne niche bulaya h. Ji main aati hu. Gulbano kehkar niche aagae thi. Jab niche aae Ji dadi jan aapne hame bulaya ji. Aap aagae hame kuch samjh nhi aa rha h. Ji kya Shairin ye dresses kesi h. Aap hi hmari madad kar do. Hame to kuch samjha m nhi aasanhi rha h. Dadi ne kha. Dadi ye to sabhi bahut pyare h. Such, " ji dadi aapki choes bahut achi h" maine kha tha. Phir theek h ji ye sare dresses aapke liye hi h. Ye aap ke liye gift h. Ji maine herat se kha. Aapko pasand h na. Nhi dadi m ye sab nhi le sakti.kyu beta, "dadi nhi plz samjhe ki koshish kijye". Aap ese hi etna sab kar rahi h. To aap ye nhi login. Hmari khushi ke liye bhi nhi. Dadi aap dadi bhi kehti ho aur ahsan bhi samajh ti ho. Dadi ne naraz ho kar kha tha. Ab ham aapse kuch nhi kahe ge. OK dadi sorry, "hame maf kar dijye ". Ham ye dresses lene ko tyyar h. Lekin hmari bhi ek bat aapko manni padegi. Konsi bat aap hamare liye etna kar rahi h. Ham bhi aapke liye kuch karna chahte. Kya dadi ne herani se kha. Dadi aaj hi se aapke  kichan ki zimedari ham sabhalna chahte h. Aap ki dekh bhal karna chahte h. Dadi hame bahut khushi milegi. Please dadi please man jao na ziyada zid karne par wo man gae thi. Aur yu hi waqt guzarne laga.



Ghar m Aliza, Saif aur unke papa aur dadi bas yehi afrad the. Sab ache the. Aliza apne m hi busy rhti thi magar kabhi kuch galat nhi kha. Saif apni study m busy rta aur unke papa business m. Mera waqt dadi ke sath kab guzar jata pata bhi nhi chalta.


Ek din dadi aae aur kha Shairin ji dadi aap yha ji beta aaj bahut khas din h. Aaj aapko special diner bnana h. Ji, "kyu khas din h." aaj hmari Aliza ke liye ek bahut acha rishta aaya h. Aur aaj wo log Aliza ko dekhne aa rahe h. Ye to bahut khushi ki bat h. Ha. M8Ladke ka nam Shiraz Ahmad h. Dadi ne khushi se btaya tha. Magar usko vo Shiraz yad aane laga. Dilkash chehra jise usne ek bar dekha tha magar nazar m bas gya tha. Jiski wajha se wo un ladko se bach gae thi. Magar wo usko shukriya nhi keh pae thi. Kash wo use thanks kar pati. Wo enhi yado m kho gae thi......................
.......



Next part after 2nd day's 

Keep reading 

Continues 

From  zindagi

Online magazine