Letest story Anjani si ek ladki
Second part of online magazine
This story about a girl
Hamdan ne pucha tha batao Shairin kya hua h. Kuch nhi hua h aap khana kha lo.Aap kuch kehti kyu nhi h. Aap janti h ye galat h. Kya galat h. Zra hame bhi to pta Chale. Ye chachi ki awaz thi. Tumhe khana dene ko kha tha yha beth kar khani sunane ko nhi. Ji me bas jahi rahi thi. Ammi aap esa kyu karti h. Mere jane ke bad usne chachi se kha. Ha beta ye sahi h sari duniya sahi h. Bas me galat hu tumhari nazar me bhi tuhare abbu ki nazar ne bhi.
Ammi se aur kuch kehna bekar h. Ye kabhi nhi badal sakti. Shairin ki zindagi bas ghar ke kamo m ulhajh ke rh gae thi. Wo namaz me roro kar dua e karti thi. Ke khuda use sukun ki zindagi de.
Aur ek din pta nhi kha se rat ke waqt kuch chor aa gaye. Chor chor Riya ne shor mchya sab apne apne room se baher aa gae wo chor nkab lagae hue the. Sab ko dekh kar khabra gay. Aur Riya ko gun point par le liya. Ye dekh kar koe bhi himmat nhi kar pa rha tha. Mene himmat karke flower vas uttaya aur us chor ko mara jisne Riya ko pakda tha.
Teri etni himmat tu hame mare gi. Are esko chodo ese apne sath le chalte h. Nhi mujhe chod do. Please mujhe se galti ho gae. Magar un choro ne kisi ki nhi suni. Aur mujhe jeep me dal kar le gay.
Tum pagal ho gay ho kya. Es ladki ko Lane ki kya zroort thi esne mujhe mara aur mujhe gussa aa gya. Ab jo bhi ho. I don't care. Ham adventure ke liye gay the ab ho gya. Aur upar se ye ladki. Wo charo aapas me bate kar rahe the. Mujhe chod do please me kuch nhi batao gi kisi ko ay ladki rona band kro. Ham wha se bahut dur aa gay h.
Wo log ek farmhouse par ruke the. Sab Chale gaye aur akeli hall m roti rh gae thi.
Tum kon ho aur yha kya kar rahi ho. Me vo vo ladke kya m m m kar rahi ho. Vo ladke lay the. Ashraf Ashraf usne chillana shuru kar diya vo charo dodte huve aay kya hua. Shiraz kya hua ye aap hamse puch rahe he. Ye ladki yha kese aae hame sab kuch janna h. Are yaar rat ye keh kar usne sab saf saf bta diya. Tum log pagal ho tumne ek ladki ko be vajha. Ye galti tum logo ki h. Aur aap hi ese sudhare ge.Samjhe
Ese abhi vahi chod kar aao. Ye fesla Shiraz ka tha. Magar yaar kuch nhi sunna mujhe. Ye keh kar Shiraz pas aaya aur shairin se kha, "I am sorry". En sab ki taraf se me sorry bolta hu. Plz aap roeye mat ye aap ko aapke ghar chod dege. Pahli bar Shairin ne nazar utta ker use dekha tha. Aur Shiraz ki nazar hatna bhul gae thi. Badi badi Aakhe, gulab ki pankhudi jese hont, aur saf rang masum chehra asuo se dhula hua. Esi khubsurati dekh kar uske hosh ud gay the. Theek h Shiraz ham ese chod aate h. Es awaz par Shiraz hadbda kar utt gya. Theek h. Aaenda esa kuch mat karna.
Unme se ek ladka use uske ghar ke bahar chod gya.
Magar ghar m kadam rakhte hi tuffan aa gya tha. Tum aa gae kese aae kon chod gya kya hua tum puri rat unke sath thi. Ye awaze chachi ki thi jo swal par sawal kar rahi thi. Btao btati kyu nhi wo log chod gaye h.mane ba mushkil kha tha. Acha to tum ye keh rahi ho ke wo khud chod gay. Ji. Eska matlab ye hua ke wo log asl me tumhe lene aay the. Ye aap kya keh rahi h. Esa kuch nhi. Tum bewakuf samajhti ho.tumhe sharm nhi aati. Apne aashiqo ko yha bulaya aur ye sab natak. Nhi chachi esa nhi h. Me sach keh rahi hu. Ye asuo se na me nhi darti. Aur aaj kuch bhi ho Jay tum es ghar me nhi rahogi. Hamari nak katwa di tumne. Apne yaro ke sath esh karke aae ho. Aur rone ka natk karti ho. Nhi chachi plz mera yaqeen kijye. Rehne do bas kro begam ilzamo ki bhi ek had hoti h. Shairin esa nhi kar sakti. Mujhe pura bharosa h. Ye awaz uncle ki thi. Chalo beta andar aao, "uncle jo mujhe abbu ki tarha hi pyar karte the andar le aay."Magar chachi ne zid pakdli thi. Khana Khana chod diya tha. Ghar ka mahol ajeeb ho gya tha. Us rat maine ye fasla kiya tha. Yu m etna kamzor nhi thi magar meri zindagi sab ke liye pareshani ki wajha thi. Es liye maine ghar chod diya. Ab koe rasta nhi tha na koe mazil thi. Jese hi maine turn liya achanak ek gadi se tkra gae.
Aur jab aakh khuli khud ko hospital me paya. Me kha hu. Aap safe h. Me abhi unko infome karti hu. Are Mrs khan unko hosh aagya h. Ji bahut shukriya. Are aap sharminda kar rahi h. Ye to hmara farz h. Chaliye un ke pas chalte h. Ji. sar m dard h
Jab me sar ko dba rhi thi to kisi ne swal kiya. Ji aap kon h. I am so sorry beta aapko chot hmari gadi se lagi thi. Hame maf kar dena hmari nhi koe bat nhi. Unki bat khatm hone se phle maine kha tha. Beta mera nam Nishat khan h. Aur aapka kya nam h. Ji me Shairin hu. Beta subha ho gae h aap apni family ko inform kar do wo pareshan hoge. Ji, nomber btao me phone kar deti hu. Nhi m chali jaogi koe bat nhi. Me bas etna hi keh saki thi. Magar wo buzurg thi waqt ka tajruba tha. Ya un ka idea magar unki bat ne mujhe hairan kar diya. Unhone bade pyar se kha ghar se naraz ho kar aae ho. Magar unki zaban se ghar lafz suna to aaso aagae. Dil ne bas etna kha kash hmara bhi koe ghar hota.
Us waqt Shairin ke hal par ye sher belkul sahi tha ___
Waqt ne hamko ko to be mot Mar dala h
Jab se kismat se mere Ma Bap ko nikala h
Phir rahe h khate hue dar dar thokar
Kitna mushkil mere rab ne ye Waqt dala h.
Wo ek nek dil aurat thi mere aaso dekhkar mujhe gale laga liya. Aur koe sawal nhi kiya. Na jane kitni der tak me aasuo bhati rahi. Aur ro ro kar unhe apni sari khani suna di thi........................
No comments:
Post a Comment